ehsan le na himmat-e-mardana chhoḌ kar
rasta bhi chal tu sabza-e-begana chhoḌ kar
marne ke ba.ad phir nahin koi sharik-e-hal
jaata hai sham-e-kushta ko parvana chhoḌ kar
honTon pe aaj tak hain shab-e-aish ke maze
saaqi ka lab liya lab-e-paimana chhoḌ kar
af.i nahin khuli hui zulfon ka aks hai
jaate kahan ho a.ina o shana chhoḌ kar
tul-e-amal pe dil na lagana ki ahl-e-bazm
ja.enge na-tamam ye afsana chhoḌ kar
labrez jam-e-umr hua aa ga.i ajal
lo uTh ga.e bhara hua paimana chhoḌ kar
us pir-zal-e-dahr ki ham Thokaron men hain
jab se ga.i hai himmat-e-mardana chhoḌ kar
pahron hamara aap men aana muhal hai
koson nikal gaya dil-e-divana chhoḌ kar
utra jo shisha taaq se zahid ka hai ye haal
karta hai raqs sajda-e-shukrana chhoḌ kar
ye sum.a-o-riya to nishani hai kufr ki
zunnar bandh sub.ha-e-sad-dana chhoḌ kar
rindan-e-mai-kada bhi hain ai ḳhizr muntazir
basti men aa.iye kabhi virana chhoḌ kar
ehsan sar pe laghzish-e-mastana ka hua
ham do qadam na ja sake mai-ḳhana chhoḌ kar
vaadi bahut muhib hai bim-o-umid ka
dekhenge sher par dil-e-divana chhoḌ kar
ro ro ke kar rahi hai surahi vida.a use
jaata hai duur duur jo paimana chhoḌ kar
tauba to ki hai ‘nazm’ bina hogi kis tarah
kyun-kar jiyoge mashrab-e-rindana chhoḌ kar
Leave a Reply