sada vo deta bhi hoga to kya ḳhabar mujh ko
jo sunne de ye mashinon ka shor-o-shar mujh ko
ajiib dasht huun main bhi ki ek ik zarra
uḌaa.e phirta hai muddat se dar-ba-dar mujh ko
har ik se puchhta phirta hai mera nam-o-nishan
guzar gaya tha kabhi sahal jaan kar mujh ko
hava vo duur se deta hai apne daman ko
qarib aata nahin jaan kar sharar mujh ko
main apne qatl ka ilzam kisi ko duun ‘rahi’
mila hai apna hi daman lahu men tar mujh ko
Leave a Reply