sad-haif ki kamzor hai chashman budhapa
susti sati jumbish men hai dandan budhapa
az bas-ki hua haiga guzar fasl-e-khizan ka
raunaq nahin rakhta hai gulistan budhapa
arbal ke bhanvar men gai hai duub javani
jis vaqt utha jag mane tufan budhapa
tasbih-o-musalla-o-asa ainak-o-raasha
joban ne diya bhej ye saman budhapa
ghaflat ki rui duur na ki shisha-e-dil suun
mai-khane men mastan ne sun ilhan budhapa
ashar hain tarif sapedi ki sarapa
is vaste rangin nahin divan budhapa
joban ke bhavan men lagi hai atish-e-garmi
chhidke hai tahur aab zamistan budhapa
gardun ki tarah kham hua qad qaus-e-quzah ka
khincha hai magar zoaf suun kaivan budhapa
amraz ki afvaj ka yurish hai badan par
is mulk men maghlub hai sultan budhapa
ab bulbul-e-jan tang hua tan ke qafas men
parvaz kare dekh ke zindan budhapa
lazzat nahin deta hai dahan biich kasu ke
ai ‘mubtala’ kya sard haiga naan budhapa
Leave a Reply