sach bol ke bachne ki rivayat nahin koi
aur mujh ko shahadat ki zarurat nahin koi
main rizq ki avaz pe labbaik kahunga
haan mujh ko zaminon se mohabbat nahin koi
mere bhi ka.i ḳhvab the mere bhi ka.i azm
halat se inkar ki surat nahin koi
main jis ke liye saare zamane se ḳhafa tha
ab yuun hai ki us naam se nisbat nahin koi
lahja hai mira talḳh mire vaar hain bharpur
lekin mere siine men kudurat nahin koi
Leave a Reply