• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sabr Wahshat-Asar Na Ho Jae

Sabr Wahshat-Asar Na Ho Jae

momin-khan-momin

sabr vahshat-asar na ho jaae

kahin sahra bhi ghar na ho jaae

rashk-e-paigham hai inan-kash-e-dil

nama-bar rahbar na ho jaae

dekho mat dekhiyo ki aina

ghash tumhen dekh kar na ho jaae

hijr-e-parda-nashin men marte hain

zindagi parda-e-dar na ho jaae

kasrat-e-sajda se vo naqsh-e-qadam

kahin pamal-e-sar na ho jaae

mere taghir-e-rang ko mat dekh

tujh ko apni nazar na ho jaae

mere aansu na ponchhna dekho

kahin daman tar na ho jaae

baat naseh se karte darta huun

ki fughan be-asar na ho jaae

ai qayamat na aaiyo jab tak

vo miri gor par na ho jaae

mana-e-zulm hai taghaful-e-yar

bakht-e-bad ko khabar na ho jaae

ghair se be-hijab milte ho

shab-e-ashiq sahar na ho jaae

rashk-e-dushman ka faeda malum

muft ji ka zarar na ho jaae

ai dil ahista ah-e-tab-shikan

dekh tukde jigar na ho jaae

‘momin’ iman qubul dil se mujhe

vo but azurda gar na ho jaae

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hum Jaise Tegh-E-Zulm Se Dar Bhi Gae to Kya

poet

Jab Bhi Ghar Ke Andar Dekhne Lagta Hun

Jala Hai Kis Qadar Dil Zauq-E-Kawish-Ha-E-Mizhgan Par

Kisi Be-Ghar Jahan Ka Raaz Hona Chahiye Tha

Sham-E-Haq Shoabada-E-Harf Dikha Kar Le Jae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet