sabhi ko dekh rahi hai nazar tumhare siva
bujha bujha sa hai dil ka nagar tumhare siva
ye sahilon ke kinare ye kashtiyan ye hava
faqat hai manzar-e-ḳhamosh-tar tumhare siva
nahin ho tum to koi manzar-e-bahar nahin
hazar gul hon mo.attar agar tumhare siva
ye bastiyan baḌi gunjan hain magar in men
kisi gali men nahin koi ghar tumhare siva
ye zindagi hai kaThin rahguzar ki surat
bahut azaab hai ye sar-basar tumhare siva
main rah-e-zist pe tanha huun jaise koi shajar
nahin hai koi miri rahguzar tumhare siva
Leave a Reply