sab se asan jis ka Thikana laga
paate paate use ik zamana laga
saikḌon vaar ḳhali ga.e dosto
tab kahin ja ke dil par nishana laga
sar hai taslim ḳhanjar chala dijiye
tiir ka kya bharosa laga na laga
is liye ek muddat se abad huun
shahar tera mujhe ashiqana laga
apni ma.asumiyat ke sabab dosto
hosh valon se behtar divana laga
tere mahlon ki raunaq se baḌh kar mujhe
ek darvesh ka astana laga
Leave a Reply