fuzul shai huun mira ehtiram mat karna
faqat dua mujhe dena salam mat karna
kahin ruke to na phir tum ko rasta degi
ye zindagi bhi safar hai qayam mat karna
vo ashna nahin ḳhvabon ki ma.anaviyyat ka
hamare ḳhvab abhi us ke naam mat karna
zaban munh men hai tar-e-gunah ki surat
tumhara hukm baja hai kalam mat karna
mira vajud ki hai dana-e-qana.at sa
main ik faqir parinda huun daam mat karna
ye baat sach hai yahan guftugu avaam se hai
magar adab ko guzargah-e-am mat karna
‘faza’ charagh-o-shafaq donon rahzanon ki mata.a
jo ḳhair chaho to raste men shaam mat karna
Leave a Reply