miri chahaton ke saval par koi muskura ke chala gaya
mujhe phir se mausam-e-vasl ka vo hasin khvab dikha gaya
dil-e-mezban men ranj ka yahi muddaton se hai silsila
koi din men aa ke thahar gaya koi raat rah ke chala gaya
vo milan ki avvalin saaten vo kisi ka lams inayaten
kabhi vo khumar se tar hua kabhi mujh pe nashsha sa chha gaya
yahi soch kar to main dang tha bhala main bhi kya koi sang tha
ki vo kar-e-khair samajh ke yuun mujhe raste se hata gaya
gham-e-ashiqi ho tira bhala tujhe yaad rakkhunga main sada
isi ek nam-e-vafa pe bas mujhe baar baar chhala gaya
jinhen rakkha main ne sambhal kar jo the jaan se bhi aziz-tar
kabhi sail-e-ashk tha josh par vo unhi khaton ko gala gaya
Leave a Reply