aḳhir vo iztirab ke din bhi guzar ga.e
jab dil-e-harif-e-atish-e-qahr-o-itab tha
jaan doston ki charagari se labon pe thi
sar dushmanon ki sang-zani se azaab tha
daman-e-sagan ku-e-mohabbat se taar taar
chehra ḳharash-e-dast-e-junun se ḳharab tha
vaan e’timad-e-mashq-e-siyasat ki had na thi
yaan e’tibar-e-nala-e-dil be-hisab tha
har baat sufiyon ki tarah pech-o-ḳham liye
har lafz sha.iron ki tarah intiḳhab tha
har jalva ek daftar ashob-e-rozgar
har ghamza ilm-e-fitna-gari ki kitab tha
ḳhvabida har nazar men bana.e fasad-e-ḳhalq
poshida har ravish men naya inqalab tha
aaj is ghazal men ham pe qayamat guzar ga.i
kya garmi-e-ḳhayal thi kya iltihab tha
Leave a Reply