karb-e-judā.ī āñkhoñ meñ aane nahīñ diyā
be-kār āñsūoñ ko bhī jaane nahīñ diyā
maiñ ne nikal ke ḳhud se banāyā tujhe ḳhudā
tū ne aqīdatoñ ko nibhāne nahīñ diyā
kuchh daan maañg letā magar raat dil ne bhī
soī huī parī ko jagāne nahīñ diyā
hotī qubūl us ke sivā kis kī rahbarī
dil ne hī inqilāb uThāne nahīñ diyā
āñkheñ thī merī kitnī rifāqat kī muntazir
maiñ ne unheñ ye ḳhvāb sajāne nahīñ diyā
ik rasm hai vafā ke liye be-vafā.eñ bhī
kyā zulm hai ki us ko nibhāne nahīñ diyā
sach hai use ḳhayāl mirī ḳhvāhishoñ kā thā
maiñ ne hī zer-e-lab unheñ aane nahīñ diyā
ik falsafa usī kī haqīqat se maañg kar
sar ko dar-e-butāñ pe jhukāne nahīñ diyā