jo tera rang tha us rang se na kah paaya
main dil ki baat kabhi Dhang se na kah paaya
kisi ḳhayal men tartib koi thi hi nahin
so sher koi bhi ahang se na kah paaya
briadri ke kisi faisle ne bandh diya
main dil ki baat miri mang se na kah paaya
shahid hone se pahle use bhi dekhna tha
magar ye baat use jang se na kah paaya
ajiib si koi ḳhvahish thi TuTne ki ‘zubair’
main a.ina tha magar sang se na kah paaya
Leave a Reply