honTon ko phuul aankh ko baada nahin kaha
tujhko tiri ada se ziyada nahin kaha
barta gaya huun sirf kisi sair ki tarah
tuune mujhe safar ka irada nahin kaha
kahta to huun tujhe main gul-e-ḳhush-numa magar
ḳhush rang mausamon ka labada nahin kaha
rahte hain sirf tang-nazar log jis jagah
us shahr-e-be-karan ko kushada nahin kaha
bandha har ik ḳhayal baḌi sadgi ke saath
lekin koi ḳhayal bhi saada nahin kaha
miiri bisat par to sabhi badshah hain
maine kabhi kisi ko piyada nahin kaha
vo asman mizaj musafir huun aaj tak
maine tiri zamin ko jaada nahin kaha
Leave a Reply