• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aashiq Kahen Hain Jinko Wo Be-Nang Log Hain

Aashiq Kahen Hain Jinko Wo Be-Nang Log Hain

mushafi-ghulam-hamdani

ashiq kahen hain jin ko vo be-nang log hain

maashuq jin ka naam hai vo sang log hain

kis tarah kasbiyon se rakhe koi ji bacha

sab jante hain in ko ye sarhang log hain

majnun tu ja ke dasht men fariyad kar ki aae

naale se tere shahr ke dil-tang log hain

aalam ke sufiyon ke koi kya samajh se

har rang se juda hain ye be-rang log hain

ham to na laal-e-lab ka tire bosa le sake

rakhte hain ye khayal jo be-dhang log hain

utra hai kaun aab men ye jis ke husn se

hairan khade hue ba-lab-e-gang log hain

mere lughat-e-sher ke aalam ko ‘mushafi’

samjhen hain vo jo sahib-e-farhang log hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

bhaTak Rahi Hai Ruh Ke Andar Lazzat Sukhi Gili Si

Tere Jaisa Chehra Dekha Bahut Dinon Ke Baad

poet

Dariche so Gae Shab Jagti Hai

Be-Kar Bhi Is Daur Mein Be-Kar Nahin Hai

meer-taqi-meer

Be-Rawi Wa Zulf-E-Yar Hai Rone Se Kaam Yan

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet