dil ko gham raas hai yuun gul ko saba ho jaise
ab to ye dard ki surat hi dava ho jaise
har-nafs halqa-e-zanjir nazar aata hai
zindagi jurm-e-tamanna ki saza ho jaise
kaan bajte hain sukut-e-shab-e-tanha.i men
vo ḳhamoshi hai ki ik hashr bapa ho jaise
ab to divanon se yuun bach ke guzar jaati hai
bu-e-gul bhi tire daman ki hava ho jaise
kahte kahte gham-e-dil umr guzari lekin
phir bhi ehsas ye hai kuchh na kaha ho jaise
‘hosh’ be-tabi-e-ehsas ka aalam tauba
mujh men chhup kar vo mujhe dekh raha ho jaise
Leave a Reply