anjam-e-mohabbat se main begana nahin huun
divana bana phirta huun divana nahin huun
dam bhar men jo ho ḳhatm vo afsana nahin huun
insan huun insan main parvana nahin huun
saaqi tiri ankhon ko salamat rakkhe allah
ab tak to main sharminda-e-paimana nahin huun
ho baar na ḳhatir pe to naseh kahun ik baat
samjha len jise aap vo divana nahin huun
barbadiyon ka gham nahin gham hai to ye gham hai
miT kar bhi main ḳhak-e-dar-e-janana nahin huun
tauba tire daman pe junun-ḳhez nigahen
huun to magar ab itna bhi divana nahin huun
sab kuchh mire saaqi ne diya hai mujhe ‘manzar’
mohtaj-e-mai-o-shisha-o-paimana nahin huun
Leave a Reply