khal-e-rukh us ne dikhaya na dobara apna
chande ik aur hai gardish men sitara apna
dil o diin va khirad o sabr kuja ku aram
ghar luta ham ne diya ishq men saara apna
boli sayyad se bulbul ki na kar gul se juda
takhta-e-bagh hai ye takht-e-hazara apna
sair ki ham ne jo kal mahfil-e-khamoshan ki
na to begana hi bola na pukara apna
misl-e-nai ham ne to fariyad bahut ki lekin
koi hamdam na hua aah hamara apna
dil hua chah-e-zaqan hi men ghariq-e-rahmat
is men ghavvas-e-nazar garche utara apna
khul gaya uqda-e-hasti-o-adam misl-e-habab
lab-e-dariya pe hua jab ki guzara apna
pairahan us ko hua khilat-e-shahi ki ‘nasir’
jis ne ye pairahan-e-khak utara apna
Leave a Reply