na bhuul paa.e tumhen hadisa hi aisa tha
na bhar saka koi us ko ḳhala hi aisa tha
vo mujh men rah ke mujhe kaTta raha pal-pal
zaban pe aa na saka majra hi aisa tha
nazar na aa.i kahin duur duur tak koi mauj
main gharq ho gaya tufan uTha hi aisa tha
na aaya lutf kisi aur gham ko jhelne men
gham-e-hayat tira za.iqa hi aisa tha
khule to lab magar alfaz donon samt na the
mukalima na hua marhala hi aisa tha
ab us ka ranj bhi kya kyuun lahuluhan hain paanv
chale the jis pe ‘zafar’ rasta hi aisa tha
Leave a Reply