sab sitam yaad hain saari hamdardiyan yaad hain
is zamin ke makinon ko saat asman yaad hain
mujh ko afsos hai main juda ho raha huun magar
ai musafir mujhe teri sab nekiyan yaad hain
main vahan ab nahin huun to kya hai ki ab tak mujhe
vo makan us ke darvaze aur khiḌkiyan yaad hain
jin men barbad hone ko ji chahta hai bahut
mujh ko aisi bhi chand ek abadiyan yaad hain
janta huun ‘zafar’ ye ghaḌi bhuul jaane ki hai
phir bhi saare shukuk aur saare guman yaad hain
Leave a Reply