umr bhar bojh uThaya to nahin ja sakta
har ta.alluq ko nibhaya to nahin ja sakta
aap is baar bhi divar men chunva den mujhe
ab ke bhi sar ye jhukaya to nahin ja sakta
roz marne ka hunar jis ne sikhaya hai mujhe
us ka ehsan bhulaya to nahin ja sakta
chashm-e-bina hai magar aql se na-bina hain
aa.ina un ko dikhaya to nahin ja sakta
tum ne ik umr mire dil pe hukumat ki hai
tum ko pal bhar men bhulaya to nahin ja sakta
jin ko alfaz se Dasne ka hunar aata hai
haath ab un se milaya to nahin ja sakta
jis qadar sang-zani chahiye kar len mujh par
sang-zadi ko rulaya to nahin ja sakta
hon makin jin men ka.i saal se zinda lashen
un makanon ko sajaya to nahin ja sakta
jis ki ḳhamoshi men aaseb sukun karte hon
aisa virana basaya to nahin ja sakta
tu but-e-ishq nahin tu to ḳhuda hai mera
ab tujhe haath lagaya to nahin ja sakta
Leave a Reply