sab samajhte hain mujh ko la-yani
aadmi huun main kaam ka ya.ani
umr bhar ishq hi kiya main ne
umr bhar kuchh nahin kiya ya.ani
kuchh na aa.ega ab kahani men
mera kirdar mar gaya ya.ani
muddaton be-ḳhabar raha ḳhud se
muddaton mujh men tu raha ya.ani
main tujhe sun na paaya ḳhalvat men
mere andar hi shor tha ya.ani
Leave a Reply