mazhab ka ho kyunkar ilm-o-amal dil hi nahin bhaai ek taraf
cricket ki khilai ek taraf collage ki padhai ek taraf
kya zauq-e-ibadat ho un ko jo bas ke labon ke shaida hain
halva-e-bahishti ek taraf hotel ki mithai ek taraf
taun-o-tap aur khatmal machchhar sab kuchh hai ye paida kichad se
bambe ki ravani ek taraf aur saari safai ek taraf
mazhab ka to dam vo bharte hain be-parda buton ko karte hain
islam ka daava ek taraf ye kafir-adai ek taraf
har samt to hai ek dam-e-bala rah sakte hain khush kis tarah bhala
aghyar ki kavish ek taraf aapas ki ladai ek taraf
kya kaam chale kya rang jame kya baat bane kaun us ki sune
hai ‘akbar’-e-bekas ek taraf aur saari khudai ek taraf
fariyad kiye ja ai ‘akbar’ kuchh ho hi rahega akhir-kar
allah se tauba ek taraf sahab ki duhai ek taraf
Leave a Reply