• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sab Rang Mein Us Gul Ki Mere Shan Hai Maujud

Sab Rang Mein Us Gul Ki Mere Shan Hai Maujud

bahadur-shah-zafar

sab rang men us gul ki mire shaan hai maujud

ghafil tu zara dekh vo har aan hai maujud

har taar ka daman ke mire kar ke tabarruk

sar-basta har ik khar-e-bayaban hai maujud

uryani-e-tan hai ye ba-az-khilat-e-shahi

ham ko ye tire ishq men saman hai maujud

kis tarah lagave koi daman ko tire haath

hone ko tu ab dast-o-gareban hai maujud

leta hi raha raat tire rukh ki balaen

tu puchh le ye zulf-e-pareshan hai maujud

tum chashm-e-haqiqat se agar aap ko dekho

aina-e-haq men dil-e-insan hai maujud

kahta hai ‘zafar’ hain ye sukhan aage sabhon ke

jo koi yahan sahib-e-irfan hai maujud

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Aagahi Aur Aagahi Dijiye Aagahi Kuchh Aur

nasir-kazmi

din Ka Phul Abhi Jaga Tha

Pursish Jo Hogi Tujhse Jallad Kya Karega

Ranj-E-Firaq-E-Yar Mein Ruswa Nahin Hua

kishwar-naheed

Ek Nazm Ijazaton Ke Liye

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet