koshish to hai ki zabt ko rusva karun nahin
hans kar milun sabhi se kisi par khulun nahin
qimat chuka raha huun main shohrat ki is tarah
vo ho ke rah gaya huun jo dar-asl huun nahin
ai maut kam hi rahta huun main apne aap men
aisa na ho na ki aa.e tu aur main milun nahin
Leave a Reply