raat ka ye samundar tumhare liye
tum samundar ki khatir bane ho
dilon men kabhi khushkiyon ki sahar ka tasavvur na aae
isi vaste tum ko be-badban kashtiyan di gai hain
safar raat ke us samundar ki gahraiyon ka safar-e-be-karan hai
akele ho tum aur akele rahoge
magar asman ki jagah asman aur zamin ki jagah ye zamin
tum se qaaem hai
daaim hai ye raat
aur raat ke tum amiin ho
agar aankh men nuur ka koi manzar hai
us ki hifazat karo
Leave a Reply