ruḳh apni tamannaon ka ab moḌ raha huun
ik TuuTe hue shaḳhs ko main joḌ raha huun
manzil ka ta.ayyun hai na sanson ka bharosa
main vaqt ki taqlid men bas dauḌ raha huun
main auron ke hisse ke bhi dam phunk na ja.un
ye soch ke jaldi se main dam toḌ raha huun
jis sehr ne toḌa hai mujhe haal men aa kar
maazi men usi sehr ka main toḌ raha huun
insan ki takmil hai rah jaana adhura
kuchh kaam adhure main tabhi chhoḌ raha huun
jis shaḳh ko chhune se hua ḳhuld se bahar
main aaj bhi us shaḳh se phal toḌ raha huun
ik gham se hai ashkon ke ta.alluq ki vazahat
main ashk se patthar ko agar toḌ raha huun
jiddat ka taqaza hai ulaT baat tu ‘kazim’
divar ko main sar se miyan phoḌ raha huun
Leave a Reply