avafa ki aas men dil de ke pachhtaya nahin karte
ye naḳhl-e-arzu hai is men phal aaya nahin karte
ḳhayalon men jab aate hain to pahron ja nahin paate
ham ab be-vasl tanha.i bhi ghabraya nahin karte
hamari niind se kya vasta hai un ki nindon ko
suna hai vo bhi ab aram farmaya nahin karte
zara se kya payam aata hai dushman jal ke marte hain
ḳhuda ka shukr hai vo ḳhud idhar aaya nahin karte
na tum aao na niind aa.e na hi kam-baḳht maut aa.e
ye kaisi kashmakash hai yuun bhi taḌpaya nahin karte
hamari tishnagi-e-did ik din rang la.egi
shahidon ki qasam pyason ko tarsaya nahin karte
hamare gird jo phirte the ḳhush-hali ke aalam men
shikayat kya ki ‘taj’ ab bhuul kar aaya nahin karte
Leave a Reply