hava ke saath koi harf-e-chashm-e-tar jaa.e
main ḳhud na ja.un to us tak miri ḳhabar jaa.e
mire ḳhulus pe qadghan laga.iye sahab
ye dil vafa ki aziyyat se hi na bhar jaa.e
tu sang-saz taḌḳhne se ashna hi nahin
tiri bala se agar aa.ina bikhar jaa.e
to kya main pyaas ka maara paḌa rahun yunhi
to kya ye abr mire saath haath kar jaa.e
to kya ye ḳhvab kinare na lag saken ‘irshad’
to kya ye mauj-e-tamanna-e-dil utar jaa.e
Leave a Reply