ilaj-e-dard-e-dil tum se masiha ho nahin sakta
tum achchha kar nahin sakte main achchha ho nahin sakta
adu ko chhoḌ do phir jaan bhi mango to hazir hai
tum aisa kar nahin sakte to aisa ho nahin sakta
abhi marte hain ham jiine ka ta.ana phir na dena tum
ye ta.ana un ko dena jin se aisa ho nahin sakta
tumhen chahun tumhare chahne valon ko bhi chahun
mira dil pher do mujh se ye jhagḌa ho nahin sakta
dam-e-aḳhir miri balin pe majma.a hai hasinon ka
farishta maut ka phir aa.e parda ho nahin sakta
na barto un se apna.iyat ke tum bartav ai ‘muztar’
paraya maal in baton se apna ho nahin sakta
Leave a Reply