qadam qadam pe hai raqsan udasiyon ka jhund
nafas nafas men utarta hai siskiyon ka jhund
hamare dil ki udasi kisi ko kya maalum
hamin samajh na sake kyuun hai hichkiyon ka jhund
tumhara saath hi chaha tha kya gunah kiya
umad pada tha kyuun rahon men bijliyon ka jhund
‘sabin’ mujh ko bhi lahaq hai maut ka khatra
mire bhi saath hai yusuf ke bhaiyon ka jhund
Leave a Reply