sab mutma.in the sub.h ka aḳhbar dekh kar
ḳha.if the ham navishta-e-divar dekh kar
munsif gavah had hai ki mazlum bik ga.e
qimat lagi jo zarf-e-ḳharidar dekh kar
main boriya-nashin gharib-ul-vatan faqir
hairan tha shan-o-shaukat-e-darbar dekh kar
na-vaqif-e-rusum-e-huzuri tha ki gaya
sab dam-ba-ḳhud the jur.at-e-iz.har dekh kar
aisa nahin ki sab the haqa.eq se na-balad
bas bolte the chashm-e-sharar-bar dekh kar
tark-e-tavahhumat ne be-faiz kar diya
bhaTke the ham bhi jubba-o-dastar dekh kar
koshish main karta rahta huun ghazlon men apni ‘taj’
baten bana.un chashm-o-ruḳh-e-yar dekh kar
Leave a Reply