• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hijr Mein Nashad duniya Se dil-E-Muztar Gaya

Hijr Mein Nashad duniya Se dil-E-Muztar Gaya

munshi-naubat-rai-nazar-lakhnavi

hijr men nashad duniya se dil-e-muztar gaya

aaj apne saath ka ik marne vaala mar gaya

sunne vaale khuub roe mere hal-e-zar par

yuun hi apni umr ka paimana akhir bhar gaya

bazu-e-qatil thakae sakht-jani ne miri

barha is haath se us haath men khanjar gaya

ham vahi gulshan vahi mahfil vahi saman vahi

ek saaqi kya gaya lutf-e-mai-o-saghar gaya

ho gai ghairon ko bhi nakam marne ki havas

main kisi par jaan de kar kaam apna kar gaya

ruh-parvar hai nigah-e-naz qatil ka asar

jis ko dekha ji utha jis ko na dekha mar gaya

main kabhi roya to vo bole duboya nam-e-ishq

aur agar aansu pi liye to dil men dariya bhar gaya

aisi hi ghaflat rahi gar mere hal-e-zar par

ek din ahbab sun lenge ‘nazar’ bhi mar gaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

jaun-eliya

did Ki Ek Aan Mein Kar-E-dawam Ho Gaya

Tumhaare Hijr Ka Sadqa Utar Phenkta Hai

gulzar

Ped Ke Patton Mein Halchal Hai Khabar-dar Se Hain

KHamushi Hi KHamushi Mein Dastan Banta Gaya

zehra-nigaah

Ab To Kuchh Aisa Lagta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet