ik shoḳh ke honTon se ye jaam tarashe hain
ye jaam tarashe hain in.aam tarashe hain
aa.ine pe kyuun itne barham nazar aate ho
jo shaklen milen us se vo naam tarashe hain
masjid ho kar mandir ho kuchh farq nahin lekin
ḳhud ham ne hi nafrat ke asnam tarashe hain
taqsim huun majburan main kitne hi ḳhanon men
duniya ne magar kya kya ilzam tarashe hain
likkhega gila kya hai karne se hi hota hai
logon ne pahaḌon men gulfam tarashe hain
farzanon ki basti men kya kaam ‘niyazi’ ka
divanon sa lahja hai ib.ham tarashe hain
Leave a Reply