Meri dhaDkanon Ko Uchhaal Kar

mirī dhaḌkanoñ ko uchhāl kar

ai fishār-e-ḳhūn dhamāl kar

ki jo dekhe sañg uchhāl de

ai junūn merā vo haal kar

mujhe kuchh to merī ḳhabar mile

mujhe mujh meñ thoḌā bahāl kar

tire bas meñ ho to dikhā kabhī

mujhe apne dil se nikāl kar

maiñ ki muddatoñ se huuñ lāpatā

mujhe DhūñD merā ḳhayāl kar

Leave a Comment