saare jahan se achchha hindostan hamara
ham bulbulen hain is ki ye gulsitan hamara
ghurbat men hon agar ham rahta hai dil vatan men
samjho vahin hamen bhi dil ho jahan hamara
parbat vo sab se uncha ham-saya asman ka
vo santari hamara vo pasban hamara
godi men khelti hain is ki hazaron nadiyan
gulshan hai jin ke dam se rashk-e-jinan hamara
ai ab-rud-e-ganga vo din hai yaad tujh ko
utra tire kinare jab karvan hamara
mazhab nahin sikhata aapas men bair rakhna
hindi hain ham vatan hai hindostan hamara
yunan o misr o ruuma sab mit gae jahan se
ab tak magar hai baaqi nam-o-nishan hamara
kuchh baat hai ki hasti mitti nahin hamari
sadiyon raha hai dushman daur-e-zaman hamara
‘iqbal’ koi mahram apna nahin jahan men
malum kya kisi ko dard-e-nihan hamara
Leave a Reply