sab ma-siva-e-ishq fareb-e-sarab hai
main bhi huun ḳhvab meri javani bhi ḳhvab hai
hai bu-e-gul kahin kahin rang-e-sharab hai
har chiiz men sharik kisi ka shabab hai
meri nazar saval hai aur barmala saval
un ki nazar javab hai aur la-javab hai
dil kar-zar-e-ishq-o-vafa men hai pesh pesh
tufan ke samne hai agarche habab hai
sham-e-jamal dost ki uf re tajalliyan
kaunain ek da.era-e-iltihab hai
vo husn intiḳhab-e-jahan hai agar to ho
meri bhi do jahan men nazar intiḳhab hai
azad-e-do-jahan huun salamat ghurur-e-ishq
ab meri be-ḳhudi bhi ḳhudi ka javab hai
irfan-e-dil nahin tujhe ai shikva-sanj dost
is aa.ine men raz-e-shuhud-o-hijab hai
ik husn-e-be-niyaz jahan tha vahin raha
varna har inqalab ke ba.ad inqalab hai
duniya-e-ishq dair nahin hai haram nahin
ye sarzamin vara-e-jahan-e-ḳharab hai
tufan ki Thokaron men hamesha se huun ‘zafar’
vo sham.a huun havaon men jo sho.ala-tab hai
Leave a Reply