sab ki aankhon men jo samaya tha
kaun tha vo kahan se aaya tha
kis ne ki aaj pursish-e-ahval
koi apna tha ya paraya tha
mit gae ham to ye hua maalum
bhuul kar koi muskuraya tha
ek lazzat thi khud-farebi men
varna kis ne fareb khaya tha
aa gaiin yaad phir vahi baten
kal ba-mushkil jinhen bhulaya tha
sab the aseb-e-bazm ke maare
ham pe tanhaiyon ka saaya tha
umr guzri ‘sahar’ mohabbat men
ham ne dil kuchh ajiib paaya tha
Leave a Reply