sab daraḳht ḳhali hain barishon ke mausam men
saare ghar muqaffal hain vasvason ke mausam men
andhiyon ki barish men sab charagh zinda hain
jagta hai yazdan bhi rat-jagon ke mausam men
aap se shikayat kya aap se gila kaisa
phir raha huun ḳhud tanha sazishon ke mausam men
jagte daraḳhton ki shaḳh shaḳh ḳhali hai
koi phal ugega to ḳhvahishon ke mausam men
abr ka koi TukḌa shahr bhar savali hai
aankh ḳhushk dariya hai ansuon ke mausam men
bas isi tajassus men raat ka safar guzra
kaun hai jo rota hai chahaton ke mausam men
ik sukut taari hai har sada ke chehre par
pa-barahna lamhe hain sa.aton ke mausam men
Leave a Reply