siina ḳhuun se bhara hua mera
uf ye bad-mast mai-kada mera
na rasai pe naaz hai jis ko
haae vo shauq-e-na-rasa mera
dil-e-gham-dida par ḳhuda ki maar
siina aahon se chhil gaya mera
yaad ke tund-o-tez jhonke se
aaj har daagh jal uTha mera
yad-e-mazi azaab hai yarab
chhin le mujh se hafiza mera
minnat-e-charḳh se bari huun men
na hua jite-ji bhala mera
hai baḌa shaghl zindagi ‘aḳhtar’
puchhte kya ho mashghala mera
Leave a Reply