• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Saaton Ki Nahin Baat Lamhon Ki Hai Jism Se Ruh Parwaz Kar Jaegi

Saaton Ki Nahin Baat Lamhon Ki Hai Jism Se Ruh Parwaz Kar Jaegi

sa.aton ki nahin baat lamhon ki hai jism se ruuh parvaz kar ja.egi

tum hamari ḳhabar ko to kya aaoge ab tumhi ko hamari ḳhabar ja.egi

jis qayamat se vaa.iz Darata hai tu us qayamat se kam ye qayamat nahin

bar-ha dil pe guzri hai jo hijr men bar-ha jaan par jo guzar ja.egi

mere charagaro mere tan-parvaro, jaao tum kas liye niind khoTi karo

hijr ki raat la-intiha raat hai ye qayamat nahin jo guzar ja.egi

mere jiine na jiine men kya farq hai mera jiina na jiina barabar hai ab

mujh ko marne hi do mujh ko marne hi do mere marne se duniya na mar ja.egi

meri duniya miri zindagi tak hi hai aur ik din meri maut ke saath hi

ḳhatma meri duniya ka ho ja.ega meri duniya mire saath mar ja.egi

Darne valon ko duniya Darati rahi Darne valon ko duniya Darati rahe

tum Daroge na duniya se lekin agar haar kar tum se duniya hi Dar ja.egi

al-aman al-aman al-hazar al-hazar al-aman al-hazar teri nichi nazar

tiir ban kar jigar men utar ja.egi dard ki Tiis rag rag men bhar ja.egi

la.engi rang la.engi aa.hen miri ra.egan hi na ja.engi aa.hen miri

meri qismat to sanvre na sanvre magar zulf to us pari ki sanvar ja.egi

zindagi ko na hai aarzu ko ‘vafa’ hasrat-agin hai donon ka shahr-e-vafa

zindagi aarzu men guzar ja.egi aarzu dil men ghuT ghuT ke mar ja.egi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ek Apne Silsile Mein to Ahl-E-Yaqin Hun Main

Kabhi to Sehn-E-Ana Se Nikle Kahin Pe Dasht-E-Malal Aaya

Jab Bhi Tere Makan Se Guzre

dagh-dehlvi

Ghazab Kiya Tere Wade Pe Etibar Kiya

Shayad Mujhe Tumne Kabhi Samjha Bhi Nahin Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet