Ruswa Kiya Shuur Ko Danai Chhin Li

rusvā kiyā shu.ūr ko dānā.ī chhīn lī

jehl-e-ḳhirad ne āñkhoñ se bīnā.ī chhīn lī

sāñsoñ meñ gūñjtī huī shahnā.ī chhīn lī

shahroñ ne mujh se gaañv kī purvā.ī chhīn lī

is tarah bhī badalte haiñ nazroñ ke zāviye

ḳhud ḳhvāb hī ne ḳhvāb kī ra.anā.ī chhīn lī

rūhoñ kī muflisī ne bahar-hāl ek din

chehra-ā.inoñ se ḳhū-e-shanāsā.ī chhīn lī

hoñT ā.inoñ ke yūñhī nahīñ haiñ sile hue

arzānī-e-jamāl ne goyā.ī chhīn lī

fitrat kā ye tazād ajīb-o-ġharīb hai

tanhā.ī dene vaale ne tanhā.ī chhīn lī

Leave a Comment