aadmī nuur hai
jalva-e-tūr hai
rab hai muḳhtār-e-kul
banda majbūr hai
nashsha-e-hirs meñ
har koī chuur hai
sālihoñ ke liye
vāda-e-hūr hai
kyā hai sehuniyat
ek nāsūr hai
muġhliya saltanat
azm-e-taimūr hai
‘hāfiz’ insān se
zindagī duur hai