aksar ye hālat hotī hai
ek ghaḌī muddat hotī hai
ham kaise zinda haiñ ab tak
ham ko bhī hairat hotī hai
yaar gila karte rahte haiñ
yāroñ kī aadat hotī hai
kaisī rasmeñ kaisī sharteñ
chāhat to chāhat hotī hai
dil auroñ kā ho jaatā hai
dil kī ye fitrat hotī hai
vasl ke lamhoñ ne samjhāyā
duniyā bhī jannat hotī hai
un āñkhoñ ko yaad karo to
dard meñ kuchh barakat hotī hai