ruḳh hi badal diya hai gham-e-rozgar ka
ye hausla hai kis ke dil-e-be-qarar ka
ai baghban na phuul ko chuTki se yuun masal
yaad aa.ega bahut hi zamana bahar ka
ai mere ishq tu hi bata kya javab duun
vo haal puchhte hain dil-e-be-qarar ka
ham ne tumhare ishq men vo daagh khaa.e hain
siine ka daagh daagh hai daman bahar ka
tera jamal-e-husn ki mera junun-e-ishq
afsane ko na baḳhsh de unvan daar ka
dar par nigah haath gareban pe dam-ba-ḳhud
main ik mujassama huun tire intizar ka
misl-e-kalim husn se chashmak nahin pasand
ham jante hain jiit men pahlu hai haar ka
kab us ke naqsh-e-pa pe na meri jabin jhuki
‘jauhar’ raha hai mujh pe karam kirdgar ka
Leave a Reply