husn-e-pari ik jalva-e-mastana hai us ka
hushyar vahi hai ki jo divana hai us ka
gul aate hain hasti men adam se hama-tan-gosh
bulbul ka ye naala nahin afsana hai us ka
giryan hai agar shama to sar dhunta hai shola
malum hua sokhta-parvana hai us ka
vo shokh nihan-ganj ki manind hai us men
mamura-e-alam jo hai virana hai us ka
jo chashm ki hairan hui aina hai us ki
jo siina ki sad chaak hua shana hai us ka
dil qasr-e-shahanshah hai vo shokh us men shahanshah
arsa ye do aalam ka jilau khana hai us ka
vo yaad hai us ki ki bhula de do jahan ko
halat ko kare ghair vo yarana hai us ka
yusuf nahin jo haath lage chand diram se
qimat jo do aalam ki hai baiana hai us ka
avargi-e-nikhat-e-gul hai ye ishara
jaame se vo bahar hai jo divana hai us ka
ye haal hua us ke faqiron se huvaida
aluda-e-duniya jo hai begana hai us ka
shukrana-e-saqi-e-azal karta hai ‘atish’
labrez mai-e-shauq se paimana hai us ka
Leave a Reply