rukh-e-raushan pe safa lot gai
zulf par kaali bala lot gai
sun ke gulshan men mire nala-o-ah
bulbul-e-naghma-sara lot gai
us but-e-mast pe mai-khane men
dukhtar-e-raz ba-khuda lot gai
ham na marte us ada par lekin
paanv par aa ke qaza lot gai
tang huun apni tabiat se main
jo hasin is ko mila lot gai
ai ‘sakhi’ khuub ghazal tu ne kahi
sun ke tab-e-shoara lot gai
Leave a Reply