
Shahid Jamal
roz dohra.enge jab sham-o-sahar ki tariḳh
kaise badlegi bhala aap ke ghar ki tariḳh
un fazaon men koi baḌh ke dikha.e to kamal
ḳhud-ba-ḳhud hogi raqam bazu-e-par ki tariḳh
apne bachchon ko na den paa.e kabhi koi ḳhushi
sirf ham likhte rahe apne hunar ki tariḳh
luTne vaale kabhi luuT na pa.enge mujhe
main bata dunga agar raḳht-e-safar ki tariḳh
apni tariḳh pe is darja bharosa hain hamen
ham na dekhenge idhar aur udhar ki tariḳh
laakh be-yar-o-madadgar phire sahil par
qaid rahti hai sadaf men hi guhar ki tariḳh
‘mir’-o-‘ghalib’ jinhen kahta hai zamana ‘shahid’
un ke har sher men hai fikr-o-nazar ki tariḳh

Leave a Reply