rote rahta hai divar se lag kar pagal hai
sunta huun apne baare men aksar pagal hai
jis ko paane ki ḳhatir kab se pagal tha main
us ne mujh se haath chhuḌaya kah kar pagal hai
jo ham ko nahin karne the vo saare kaam kiye
kaun bhala duniya men ham se baḌh kar pagal hai
teri rahen takte takte ho ga.e patthar ham
ab to is ko haath laga de patthar pagal hai
ek pari ne jab se is men paanv bhigo.e hain
chaaT raha hai sahil yaar samundar pagal hai
Leave a Reply