rona in ka kaam hai har dam jal jal kar mar jaana bhi
jan-e-jahan ushshaq tumhare sham.a bhi hain parvana bhi
saari umr men jo guzri thi ham par vo rudad likhi
par hui yuun mash.hur ki jaisa ho na koi afsana bhi
ishq sabhi karte hain magar jo halat mujh par taari hai
munh se kahun gar haath malega apna bhi begana bhi
puchhte kya ho mera Thikana ek jagah gar ho to kahun
rahguzar hai yaar ka dar hai masjid bhi mai-ḳhana bhi
rah-e-talab men chalte phirte lakhon aate jaate hain
ḳhalq men hai ushshaq ki manzil ka.aba bhi but-ḳhana bhi
mujh par vo be-taur ḳhafa hain ghairon ke bahkane se
milna kaisa baat kahan ki band hai aana jaana bhi
ek hamin kya pech men hain us zulf-e-dota ki ulfat se
mar-e-siyah ham-rang hai apna sumbul-e-tar bhi shana bhi
kar di sohbat darham-o-barham kis ki chashm ke afsun ne
bahka saaqi Dhalki botal aur chhalka paimana bhi
vaa.iz ke munh par na kaho kuchh shar.a ki hurmat lazim hai
rindi men mashrut nahin hain baten azadana bhi
ḳhanjar-e-abru tegh-e-nigah taqrir-e-musalsal chashm-e-siyah
tez bhi hai ḳhun-rez bhi dil-avez bhi hai mastana bhi
kuche men us ke jam.a hain ashiq bhiiḌ lagi hai koson tak
shor bhi hai hangama bhi hai shane se chhilta shana bhi
ḳhalvat-e-dil men chain se baiTho kis se takalluf karte ho
ghar hai tumhara tum ho yahan mehman bhi sahab-ḳhana bhi
naam ‘habib’-e-muztar ka ma.alum nahin sab kahte hain
dard-rasida afat-dida vahshi bhi divana bhi
Leave a Reply