ham mai-kade se mar ke bhi bahar na jaenge
mai-kash hamari khaak ke saghar banaenge
vo ik kahenge ham se to ham sau sunaenge
munh aenge hamare to ab munh ki khaenge
kuchh charasazi nalon ne ki hijr men miri
kuchh ashk mere dil ki lagi ko bujhaenge
vo misl-e-ashk uth nahin sakta zamin se
jis ko huzur apni nazar se giraenge
jhonke nasim-e-sub.h ke aa aa ke hijr men
ik din charagh-e-hasti-e-ashiq bujhaenge
sahra ki gard hogi kafan mujh gharib ka
uth kar bagule mera janaza uthaenge
ab thaan li hai dil men ki sar jaae ya rahe
jaise uthega bar-e-mohabbat uthaenge
gardish ne meri charkh ka chakra diya dimagh
nalon se ab zamin ke tabaq thartharaenge
‘bedam’ vo khush nahin hain to achchha yunhi sahi
na-khush hi ho ke ghair mira kya banaenge